|
|
|
|
|
|
|
|
|
|
|
|
|
|
| |
|
|
|
Electronic Names
Electronic names
Aaj kal electronic mail ka zamana hai aur sabhi ke naam, pate badal chuke hai. Rina ab rina123 ho gayi hai, to kisi ka naam underscore ho gaya hai aur koi abc ho gaya hai. To kisi ne apna pura naam hi badal liya hai(lovehunters@rediff, dipti_deep@yahoo and so on.. ). Ab jara sochiye ki aane wale kal me bacho ke naam karan ke saath pandit ji mail id bhi bana rahe honge. Aur jab kundali ban kar aayegi to who hoga suresh_bbn@gmail.com aur pandit ji yeh bhi batayenge ki chuki ladka rahu ki falan istithi me paida hua hai is liye bache ke baap ko apni mail ID badalni padegi, tatha bache ke heet me iski mata ko agle mahine ki 26 tareekh ko akhand path karane ke liye hamare website par 2600 rupye ka daan www.aslipandit.com par logon karke, credit card se Karna padega. …aur jaane kya kya hone wala hai. Lekin abhi jo ho raha hai usko dekhe.. is ID ke chakkar me..dekhiye kya hota hai? Ab ek sajjan ka tabadala kisi dusre sahar me hua aur bahut hi num aakhon se patni ne bidai di kaha “jaan pahuchate hi mail kar dena.” Saahab bhi bade dukhi , unhone pucha ki “abc wale par ya 1234 wale par. Patni ne kaha abc wala khulne me time lagata hai uska server aajkal hamesha down rahta hai, aap 1234 wale par kar dena. Janaab dusre sahar pahuche aur hotel me kadam rakhte hi patni ki yaad satane lagi (waise aam taur par aisa hota nahi hai), janab ne turant apna laptop khola aur patni ko mail karne baithe. Mail type kiya aur save karke rakh liya ki agli baar kaam aayega. Lekin mail bhejne me ek galti ho gayi patni ka mail id tha sunayana1234 aur chala gaya sunayana123 ko. Idhar sunaya123 apne pati ke kirya karm kar ke lauti thi ab unko jo padhne ko mila wo kuch is prakaar hai.. Subject tha Tumahara husband , aur mail me likha tha - chinta na karma mai yaha thik se pahuch gaya hu, yaha ke staff sabhi bade ache hai, sab log mujhe receive karne aaye the, aur jis kamre me mai thahra hu uske bare me kya kya likhu. sab log tumahre bare me puch rahe the. Tumahre aane ka intezaar sabhi kar rahe hai. Tum chinta bilkul na karma agle week me tumahre aane ka ticket book kara diya hai. Yaha to puri taiyari ho gayi hai tumahre welcome ka aur ha Tum jab aaogi to hume double bed wala room mil jaayega.
by Ramesh
|
|
| | |
|
|
|
|
|
|
|